Legal Question in Civil Rights Law in Pakistan

Aoa,

Mn poochna chahta hoon k hum loog gulberg mein rehty hein aur hamare se kuch fasle par aik poor se logo ka mohalla hy. un k bachy sara din hamari gali mein aa kar kheelty hein aur door beel baja kar bhaag jatey hein chooriyaan bhi karty hein aur hamari gari par scratches daal kar chale jatey hein. bohat dafa un bachoon k parents se shikayat ki magar wo loog ulta hum se badmashi lagaty hein aur kehty hein k tum loog theekedar nahi ho mohalley k ye bachy jab marzi aur jahan marzi jaein koi in ko rook nahi sakta. Ab situation ye hy k gari ki deggi khol kar choti moti cheezein nikal letey hein aur door beel baja kar bhaag jatey hein jis se bohat disturbance hoti hy. sara din galli mein shor machane se bhi sakoon kharab hota hy. sare mohalle wale tang hein magar un bachoon k kuch nahi keh sakty. Ap bata sakty hein k legally hum kia kar sakty hei nk wo hamare mohalle mein na aaein?

Shukria


Asked on 10/15/16, 1:59 am

3 Answers from Attorneys

Sher Baz Ali Sameja, Mughal & Meo-The Law Firm

you wtasppp or call me 03110476430

Read more
Answered on 10/16/16, 5:03 am
Zafar Iqbal Ch.Zafar Iqbal Khan Advocate

You may call me 0306 7861164

Read more
Answered on 10/16/16, 6:10 am
Adnan Bashir A B Choudry Law Firm

contact at

[email protected]

0333-5492377

Read more
Answered on 10/16/16, 6:58 am


Related Questions & Answers

More Civil Rights Law questions and answers in Pakistan