Legal Question in Family Law in India

agar husband aur wife delhi me rehte the. aur sirf isliye ki husband ka native place mumbai hai. husband mumbai me wife ke against koi bhi jhuti complaint file kar dega? kya police wife se puchhegi nahi ki aapke against aapke husband ne aisi complaint file ki h ki aap unke ghar se 3 lack ki jewellry le kar chale gaye ho? balki husband ne dahej ke liye khud wife ko ghar se nikala aur uski basic cheeze bhi usko vapis nahi dena chahta. wife ne is ummed me husband ke against complaint nahi kari ki shayad uska husband sudhar jaaye. god knows ki complaint ki gayi hai ya nahi. husband ke relative ne wife ko bataya.

1)koi tareeka jis se wife pata laga sake ki husband ne complaint likhwai hai ya nahi?

2) agar likhwai hai to uska koi solution?

3) RCR ke alawa kya husband mumbai me koi aur case bhi file kar sakta hai wife ke against? agar kar sakta h to konsa case kar sakta hai?

4) delhi me husband konse case file kar sakta hai?

shadi se pehle husband delhi (rented house) me rehta tha. coz mumbai husband ka native place hai. wife sirf 2 ya 3 din vaha rahi hai. wife delhi me rehti thi. shadi delhi me hui. shadi ke baad wife inlaws ke saath delhi me rahi. parents ke ghar aane se pehle bhi wife delhi me husband ke ghar(rented house) me thi. shadi ko 1 year complete nahi hua hai. wife hesband ke saath rehne ko ready hai. husband wife ke saath nahi rehna chahta. husband shadi ka kharcha dene ko ready hai


Asked on 7/24/16, 1:42 pm

1 Answer from Attorneys

repeated query

Read more
Answered on 7/24/16, 11:52 pm


Related Questions & Answers

More Family Law, Divorce, Child Custody and Adoption questions and answers in India