Legal Question in Family Law in Pakistan

a.o.a mairi 7 months ki baiti hai aur main apne khawand se divorce chah rahi hun. Main iss ko le kar abroad jana chahti hun. Mera husband keh raha hai k mairi bachi mujhe de do main apni bachi tumhare paas nahi choroon ga kisi bhi haal main aur mairi baiti ko le kar abroad nahi ja sakti.... baiti mujhe de do phir abroad jao divorce lo shadi karo jo marzi karo...... lekin main kisi qeemat pe bhi apni baiti nahi dena chahti..... magar uske sath bhi nahi rehna chahti...... pls give me advice k kya main beti ko apne sath le kar abroad ja sakti hun? Aur doosri shadi kar sakti hun?? Pls advice.


Asked on 9/10/15, 5:39 am

2 Answers from Attorneys

M. Mazhar Javed TRI-LEGAL & Tax Consultants

child custody k liay court sirf bache ki welfare ko dekhti hay k aya bache ki welfare maan k sath rehne main hay ya baap k sath rehne main. Aap ki beti abhi sirf 7 months ki hay so court aap k haq main hi orfer kare gi.

for more details call 0321-5535469

or email at [email protected]

Read more
Answered on 9/10/15, 7:15 pm
Owais Ahmad Qadri United Law Associates

Dear sistet at this age the baby will be remin with you . If u r living separate from your husband then file petition for guardian od your daughter . Or wait for case ofvur husband.

0333 582313

0300 5813132

oaqadri@ gmail.com

Read more
Answered on 9/11/15, 12:31 am


Related Questions & Answers

More Family Law, Divorce, Child Custody and Adoption questions and answers in Pakistan