Legal Question in Family Law in India

salamalaikum

janab mera sawal hai ki meri ek bahan jo ki shaadi shuda thi. aur uske chaar bachche hai. lekin do saal pahle usne apne sauhar se kisi baat pe ladai ho aur dono me baat chit band ho gayee. uska sauhar use chhor kar bhaag gaya . iske baad meri bahan ne ek mard se nikah kar liyaa jabki uska apne sauhar ke saath talak nahi hua. CHAARO bachche ke saath usne doosre mard ke saath shaadi kar liya.

ab do saal baad uska doosra sauhar uske bachchke ko nahi rakhna chahta hai. jabki meri bahan ke pahle sauhar ne bhi shaadi kar liya hai.

meri bahan ab maboor ho gayi hai ki ab bchchon ka career kaise banaye . meri bahan ka pahla sauhar bhi bchcho ko nahi rakhna chahta hai ki woh apne maa ke saath kyon bhaagh gaya tha.

janab ab hame ye bataye ki islami sariyat bachcho ke bare me kya kahti hai.

khuda hafiz.


Asked on 11/24/14, 10:43 pm

2 Answers from Attorneys

Santosh Goswami,Advocate sure shot legal

Islamic shariat ka to pata nahi par bacche CrPC section 125 ke antargat apne pehle father se maintenance mang sakte hain. Contact for detail.

919555462995

Read more
Answered on 11/24/14, 10:58 pm

minor child can claim maintenance under sec. 125 crpc and it is applicable on all religion

Read more
Answered on 11/26/14, 1:59 am


Related Questions & Answers

More Family Law, Divorce, Child Custody and Adoption questions and answers in India