Legal Question in Intellectual Property in India

hello respected sir,

sir mera naam Jiten (26 yrs) h. sir mere papa bhot jua khelte h aur sharab pite h.. aur bhot udhar maangte h.. sir unhone hamare ghar ka document girvi rakh kr 2.5 Lakh ka krja liya aur jue aur sharab m udha diya.. sir hamre ghar ki jamin dadaji ko alloted h.. jo ki mar chuke h.. sir mene 3 Lakh chuka kr ghar k document le liye.. pr document pr dadaji ka naam h.. use mein apni mammi k naam krvana chahta hun.. plz procedure kya hoga sir.. nhi to papa fir se girvi rakh denge jamin ko.. plz sir..


Asked on 3/17/14, 9:01 am

1 Answer from Attorneys

Fca Prashant Chavan Expert Edge LLP

18.03.2014

Dear Jiten,

Aapko dadaji kay dwara likhay gaye vaseeyatnama (Will) dwara jameen kay kaagzaat Tehsildar / District Registrar kay daptar may jaakar darj karnay hongay aur unkee sahaayata say jamin aapkay maataji kay naam karnee hongee.

Regards,

Read more
Answered on 3/17/14, 7:34 pm


Related Questions & Answers

More Intellectual Property questions and answers in India