Legal Question in Civil Rights Law in Pakistan

Sir

Main aik private college main M.A (part-1) ki student thee, tmam collage dues ada karnay k bavajood principal ne mujhy Roll No. Slip nahi di aor main exam nahi de pai ,jeski vaja se mera taaleemi career tabah ho geya

Main nay ombudsman Punjab ko application di, keh mujhy collage se meray tmam ikhrajat harjanay k sath wapis delway jaien , bohat si inquiries kranay k Aik sal baad ombuds man nay jo fesla lekha hay woh haraf baharaf lekh rahi hoon

Meri rah numaai farmaien keh mujhay ab insaf k hasool k leye keya karna chahye ? FESLAH

SHEKAYAT:

Shekayat kunenda ki darkhwast k mutabaq woh ..........college ........ main M.A sociology part -1 ki talba hay. Is ne college haza mian 5-9-11 taleemi session 2011-12 main dakhla leya aur college k tmam vajbat babat sal e awal ada kar deye . taleemi sal k ekhtamam par bavajooh es k ahl e khana ko tarke sakoonat ka masla dar pesh huwa tu is ne college k principle ko tahreeri tot par aagah kar deya keh aainda woh part �ll main woh is college main taleem jari nahi rakh sakay gi. September 2012 main precipal ne eska dakhla bhejwanay se inkar kar deya. Aur pher Part-ll ki one third fee ada karnay ko kaha halan keh woh college k tmam vajbat ada kar chuki thi lekan principal ne zabar dasti is say part �ll ki one third fee wasool kar k dakhla bhejwaya. Pher exam k waqt isay Roll No; slip nahi di or mutalba keya keh part-ii ki baqi fee bhi ada karay. Talbah ne principal aor Director colleges ki mennat samajat ki lekan koi shunwai nahi hoi.aur es tarah es ka qeemti sal zaia ho geya. Shekayat main ........ college k khelaf kar rwai ki estadaa ki gai hay.

Agency ki report;

DCO..........nay apni report main tahreer keya hay es moamlay ki District officer se inquiry karwai gai hay jes k mutabaq college principal ne M.A Part-ll ki fee ada na karnay par shekayat kunenda ko Roll No. Slip jari nahi ki. Jeski vaja se wo exam main shamil nahi ho saki. Shekayat kunenda k exam na denay ki tmam tar zemma dari college intzamia par aaid hoti hay jes ki vajah se shekayat kunenda k 2 qeemti sal aor taleemi career ko na qabl e talafi nuqsan puhncha hay. Is leye ........... college k khelaf sakht tadeebi karwai karnay ki sefarish ki jati hay.

NATEEJAH;

Shekayat kunenda ne ....... college main M.A part-l k tmam vajbat ada keye, jeska part �l k exam k leye dakhla bhi bhejwaya geya magar college ne shekayat kunenda ko part _l k imtehan k selsalay main Roll No; slip jari na ki , college intezamia shekayat kunenda se part �ll ki fee ka taqaza karti rahi halankeh koi aisa qaida aor zabta na hay keh agar taleb elam ne part �L k tmam vajbat ada kar deye hain tu esay Roll. No, slip jari na ki jay . college intzamia ka yeh tarz e amal sakhat qabl e etraz aor quwaed o zuwabat k munafi hay. Director colleges aor DCO...... ne bhi is college k is tarz e amal ko manfi qrar deya hay. Shekayat kunenda ek private college kit alba thi jis ne iski Roll. No. Slip part-ll ki fee k leye rokay rakhi . yeh daftar kisi bhi private edaray k khelaf ray ka mutqazi na hay. Qabal azeen Director colleges aur DCO........ ki taraf se inquiry ki roshni main aik letter ba hawala 2007, morkha 21-11-2013 Director public instruction colleges Punjab Lahore ba gharz aainda karwai bhejwai hay jis par karwai ka tahal intezar dar pesh hay , copy hukam Director colleges ....... aur DPI Punjab Lahore ko bhejwai jati hay keh muaamla ko baghair takheer yaksoo karein. In tasreehat k sath shekayat nemtai jati hay , fareeqain matla hoon.

sighned

OMBUDSMAN PUNJAB


Asked on 6/25/14, 1:39 am

1 Answer from Attorneys

Salman Khan International Lawyer

koi haal nai... private idaray k khilaf inkay pass taqat nai hai.. Bas Further karwai k liyay Director public instruction of DPI Punjab ko keh dia gaya hai.. For more [email protected]

Regards,

www.internationallawyer.info

Read more
Answered on 6/25/14, 2:27 am


Related Questions & Answers

More Civil Rights Law questions and answers in Pakistan