Legal Question in Family Law in India

Husband se jhagre ke baad mai apne parents ke ghar aa gyi thi. Maine koi police complain nahi ki thi kyoki m chahti thi ki husband aur mere beech sab kuch thik ho jaye. Mai kuch b samaan clothes jewellery sath nahi le kar aai thi. Kyuki mai vapis jana chahti thi. Lekin mere husband divorce dena chahte hai. Unka sabse yahi kehna hai ki mai jewellery aur clothes sab kuch le gyi hu. Meri jewellery mother in law ke locker me thi. Agar mai IPC 406 file karu stridhan ke liye to kya mujhe vo jewellery bhi milegi jo mujhe mother in law ne wedding aur wedding ke baad di thi ? Kya ye possible hai ki vo aisa bol de ki m jewellery le gyi hu aur meri jewellery locker se nikal kar idhar udhar kar de ?


Asked on 6/10/16, 12:09 pm

1 Answer from Attorneys

Dear client u can file domestic violence case to recover yr gold. But u can claim only those which u received ftom yr parent. For any legal help call me

Adv prasad patil

9604349028

8446247807

Read more
Answered on 6/11/16, 12:14 am


Related Questions & Answers

More Family Law, Divorce, Child Custody and Adoption questions and answers in India