Legal Question in Family Law in India

Mere husband mujhe divorce dena chahte hai. Meri marriage ko abhi 1 year complete nahi hua. Vo chahte hai ki first step mai lu. Mai divorce ke liye file karu ya fir mutual divorce ho. Mai unhe divorce nahi dena chahti. Mai abhi apne parents ke sath reh rahi hu. Unhone mujhe ghar se jaane ke liye force kiya. Mai abhi job nahi kar rahi hu. Mujhe monthly expenses ke liye money chahiye. Kya mai iske liye file kar sakti hu. Agar mai women cell me application du to kya mujhe expenses milenge ? Kya iske baad mere husband divorce ke liye file kar denge ? Mai divorce nahi lena chahti. Kya unke file karne pe divorce final ho jayega ? Kya mujhe divorce dena padega ?


Asked on 6/13/16, 9:24 am

1 Answer from Attorneys

Dear client app women cell dowry harassment ki complaint file kar sakati. Per monthly expenses ke liye aapko maintenance ka case under sec 125 ke under court mai file karana padega. For any legal help call me

Adv prasad patil

9604349028

8446247807

Read more
Answered on 6/13/16, 9:47 am


Related Questions & Answers

More Family Law, Divorce, Child Custody and Adoption questions and answers in India