Legal Question in Family Law in India

Sir mere in laws ne mujhe 5 months pehle ghar se nikal diya tha. Sir maine koi complain nahi ki thi unke against. Maine police station me FIR bhi nahi likhwai. Mai vaha se kuch bhi samaan lekar nahi aai thi. Ab mai crpc 125 file karna chahti hu. Sir mujhe lawyer ne bataya ki FIR likhwana jaruri tha.

1. Kya ab mai FIR likhwa sakti hu?

2. FIR nahi likhwane ki vajah se kya mujhe koi loss ho sakta hai?

3. Kya mere in laws mere against koi action le sakte hai? Agar kar sakte hai to kya complain kar sakte hai?

4. Agar mere in laws mere against complain karenge ya unhone koi complaint ki hogi to kya mujhe uske bare me pata chalega?


Asked on 6/27/16, 7:30 am

1 Answer from Attorneys

1) Yes. aap FIR likhwa sakte hai.

2) Nahi karne se, nuksaan hone ka chance hai.

3) Nahi. aapka in laws kounsaa actin le sakta hai? aap unka upar le sakte hai.

4) vo karne se, pulice ne aapko bulake nahi tho khud aake vichaar karega.

5) aap ek local achaa anubhav vakil ka sahayata lelei.

Read more
Answered on 6/27/16, 9:30 am


Related Questions & Answers

More Family Law, Divorce, Child Custody and Adoption questions and answers in India