Legal Question in Administrative Law in India

Meri Bahan aur Jija ka parawarik jhagda chal raha hai . jija ji dhara 307 ke case me apradhi hai aur unhe saja ho chuki hai be jamanat par hai. unke pariwar par ke khilaf police station me marpit ki FIR report darj hai . uske bad jija ji ke taraf se hamare pariwar aur mere khilaf court me dhara 200 ke tahat jutha case lagaya hai marpit karne ke sambandh me. hamne court se jamanat le li hai aur ahi tak court ne ham par charge nahi lagaya hai.

meri hal me sarkari noukri lagi hai us me office ne jankari mangi hai ki kisi aavedak ke khilaf koi dandik prakaran court me bichradhin ho to dhara sahit prakarn s.r. No. ki jankari dena jaruri hai 1961 (6) ke tahat.

office ko iski jankari dene jaruri hai yadi me jankari deta hu to kahi meri noukri to nahi chali jaygi. dahra 200 case me court ne ham par charge nahi lagaya hai kya yah court me bicharadhin mana jayega.

me ne aabedan karte samay is ki jankari nahi di thi.


Asked on 3/01/13, 12:25 am

1 Answer from Attorneys



Related Questions & Answers

More Administrative Law questions and answers in India