Legal Question in Family Law in India

Meri Shaadi 1999 mai hui thi jisse mujhe do kids 11yr. daughter and 7yrs son hai 2008 mai mer m-in-law aur husband ne mujhe yeh kehkar ghar khali kara liya tha ki meri unki mummy aur meri nahi banti issliye woh kiraye ke ghar par rahenge aur agar main nahi jaongi to woh mujhe kharcha paani dena band kar denge, aur unhone aisa kiya bhi aur mujhe ghar chhodna pada. kiraye par rehte mere husband ne mujh par 2009jan, main divorce case dal diya aur hume chhod kar apni mother ke paas chale gaye, aur landlord ne hume ghar khali karva liya, tab se mai apni mother ke ghar reh rahi hoon.Meri tees hazari main maintinance 20,000Rs. lagai gayi thi jiski apeal mere husband ne high cour main kam karane ke liye ki thi, tab court ne mere husband ke case main dum na dekhte hue hume mediation center bhej diya, jahan par mere husband ne 2011jan,divorce case wapis le liya aur hume monthly 15,000Rs. dene ka aur saath rakhne ka written commitment kiya. lekin 6month ho gaye woh 15.000 to de rahe hai par saath rehne ki baat par bolte hai ki mere paas to ghar nahi hai aur yeh meri mummy ka ghar hai unke naam par hai woh tumhe nahi rakhengi, mere sasuraaal main meri saas aur mere husband ke alawa koi nahi hai. Mere husband rehte to apni mummy ke paas hai lekin on paper kisi friend ka indirapuram main ghar ka rent agreement karva rakha hai. Meri saas ne senior citizin hone ka galat istemaal karke police protection le rakhi hai. Pl batay mai kya karoon kahan jaaon.

1Q Kya mai uss ghar mai nahi ja sakti jahan main shaadi kar ke 8.5yrs apne bachon ke saath rahi hoon?

2Q kya aisa koi law nahi hai jo mujhe mere ghar pahuncha sake?

3Q kya mai saari zindgi 15,000 ki bheek par jeeti rahoon aur apne ma-baap ke ghar baithi rahoon?

Pl meri help kijiye woh log mujhe ghar nahi ghusne denge.


Asked on 7/25/11, 2:24 am

1 Answer from Attorneys

Santosh Goswami,Advocate sure shot legal

jab aapke pati ne aapko wapas ghar me nahi rakha jaisa ki unhone written me diya tha to aap usi samay court me execution petition kyu nahi dala. AAp abhi bhi dal sakte ho. AAp restitution ka case bhi dal sakte ho.

919555462995

Read more
Answered on 8/01/11, 4:46 am


Related Questions & Answers

More Family Law, Divorce, Child Custody and Adoption questions and answers in India