Legal Question in Family Law in India

Mere in laws ne dahej ke liye mujhe ghar se nikal diya hai. Mai jab bhi apne husband ko phone krti hu sari problems solve karne ke liye. To vo mutual divorce karne ke liye kehte hai. Mujhe kehte hai ki tum sara samaan le gyi ho aur 10 lack ki jewellery bhi le gyi ho. Unhone mujhe ghar se bahar nikal diya tha. Tab mere parents mujhe lene aaye the. Mere husband jhut bolte hai ki maine tumhe itna roka fir bhi tum chali gyi. Kehte agar maine nikala hota to mai tumhare ghar chor ke aata tumhe. Tum apni marzi se gyi ho tbhi tumhare parents tumhe lene aaye hai. Vo is tarah ki batein karte hi aur sab batein record karte hai. Sari batein mujhpe dalte hai. Mai vaha se kuch bhi nahi le kar aai. Mujhe kya karna chahiye. Vo Jo bhi batein karte hai mai accept nahi karti.

1. Kya is tarah ki recordings vo mere against use kar sakte hai.

2. Mai kana complain kar sakti hu unke against?


Asked on 6/30/16, 8:47 am

1 Answer from Attorneys

Santosh Goswami,Advocate sure shot legal

Aisi recording se use koi fayda nahi hoga.

Aap sidha police me complaint karo ya fir D.V.ACT KE TAHAT COMPLAINR FILE KARO. But us se pehle aapko RCR ke lie ek notice karni chahie. Koi confusion ho to contact karen.

9555462995

Read more
Answered on 7/01/16, 9:41 am


Related Questions & Answers

More Family Law, Divorce, Child Custody and Adoption questions and answers in India